- ALLAH TAALA ka Irshaad hai :Aur Main ne Insaan wo Jinnaat ko apni ibadat ke liye hi paida kiya.
(Surah Zaariyaat :56)
- Jab HUZOOR NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam madine ki galliyon me se kisi bhi gali se tasreef lejate to khushboo se maloom hojata ke Aap is gali se guzre hain.(Majmauzzawaed,vol:8,pg:205)
- HUZOOR Sallallahau alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Tumhara bhalayi ka kaam karna tumhare hi haq me behtar hai.
(sunan e abu dawood,Hadees No:1617)
- Sab se zalim insaan wo hai jo aise shakhs par zulm kare jo is se Insaaf se pesh aate hain.(Hazrath Ali raziallahu taala anhu)
- Zikar karne walon ke paas baitho, kyun ke unho ne BADSHAH ka Darwaza thaam rakha hai.(Hazrath Abu Zakariya Razi rahmatullah alaih)