Tumhe kya maloom ke Shab e Qadar kya hai?

shab e Qadr

❀ Beshak Hum ne is (Quraan) ko Shab e Qadar me Nazil kiya,
Tumhe kya maloom ke Shab e Qadar kya hai?
Shab e Qadar Hazaar Mahinou se behtar hai,
Is (Raat) Farishte aur Ruhul (Amen) apne Rab ke hukum se har kaam (ke intezaam) ke liye (zameen par) utarte hain,
Wo (raat sarapa aman wo) salamati hai,
Aur wo Raat Subah hone tàk (apni barkatou ke saath) Rehti hai.
(Surah Al Qadar:1/5)

Allah Tala Ne Quran Me Farmaya :
#Ramazan Wo Mahina Hai Jisme Quran Ko Humne Nuzool Kiya”
– (2:185)
#Ramzan Ke Mahine Me Kab Nazil Hua Uske Talluk Se Surah Qadr Me Faramaya:
Humne Is Quran Ko Shabe Qadr Me Nazil Kiya”
– (97:1)

❀ NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ko sabeqa ummatou ki umren dikhayi gayi ya is baare me jo ALLAH TA’LA ne chaha dikhaya, to goya HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne (sabeqa ummatou ke muqable me apni ummat ki kam umrou ka khayal karte hue soncha ke kya meri ummat is qadar neik amaal karsakegi jis qadar dusri ummatou ke logou me lambi umar ki wajeh se kiye, To ALLAH TA’LA ne HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ko SHAB E QADAR ataa farmayi jo Hazaar mahinou se bhi Afzal hai.

(Shubul Imaan,hadith no:3667)
❀ Ummul Momineen Hazrath Ayesha Siddiqa raziallahu taala anha farmati hain:
Main ne Arz kiya:

YA RASOOLALLAH !Sallallahu alaihi wasallam : Agar Mujhe Shab e Qadar miljaye to usme kya Dua Padhu?
To HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Ye Dua karo !

Aye ALLAH ! TO BAHUT MAAF FARMANE WALA HAI, AUR MAAFI KO PASAND KARTA HAI, PAS TO MUJHE MAAF FARMA..
(Jame Tirmizi,hadith no:3855)

❀ HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:

Yaqinan ALLAH TAALA ne LAILA TUL QADAR Meri Ummat hi ko Ataa ki hai, is se pehle kisi Ummat ko ye Ataa nahi farmayi.

(Sunan e Dailami,hadith no:647)

Dua to be recited on Lailatul Qadr night

 

❀ NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:

Jo shakhs Bahalat e Imaan Sawaab ke iraade se Shab e Qadar me Qiyaam kare to uske guzre hue gunah baqsh diye jate hain.

(Sahih Bukhari,hadith no:35)

 

❀ NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:

Jis shakhs ne Tamaam Ramzan Maghrib aur Isha Jamaat ke saath padhi us ne Shab e Qadar ka waafir Hissa paaliya.

(Shubul Imaan;hadith no:3707)

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *