UMME KULSUM ( Raziallahu taala anha)

Image result for madinah

  • HUZOOR NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne Hazrath USMAN E GHANI raziallahu taala anhu se irshaad farmaya:

    Qasam KHUDA KI !Agar meri 100 ladkiyan hoti aur ek baad digar sab ka wisaal hota jata to main ek ke baad ek tumhare nikah me deta jata, yaha tak ke 100 mukammal hojati,

    Abhi Jibreel (Alaihissalaam) mere paas aaye the, unho ne arz kiya ke ALLAH TAALA ne ye hukum farmaya hai ke main UMME KULSUM ( Raziallahu taala anha) ko tumhare Nikah me do..

    (Jamiul Ahadees,Hadith no:16107)

  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:

    Har NABI ka ek rafeeq hota hai aur Jannat me mere Rafeq USMAN (raziallahu taala anhu) hain.

    (Jame Tirmizi, hadith no:4063)

  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne ek martaba Hazrath Jibreel Ameen se farmaya ke Jibreel zara ye to baton ke tumhari Umar kitni hai?

    Hazrath Jibreel Alaihissalaam ne arz kiya:

    Aqa meri Umar ka to mujhe andaza nahi likin itna yaad hai ke,

    (saari kayenaat ke paida hone se pehle ALLAH TAALA ke hijabaat e Azmath me se ) 4 the parda e Azmat me ek Norani Sitara chamka karta tha,

    Aur wo sitara 70 Hazaar saal ke baad ek martaba chamkta hai,

    AQA main ne apni zindagi me wo NORANI SITARA 72 Hazaar martaba dekha hai,

    HUZOOR E AKRAM Sallallahu alaihi wasallam (muskurate hue chehra e anwar ke saath ) farmane lage:

    Jibreel (Alaihissalaam) Mujhe apne Rab e Zul jalaal ki Izzat ki Qasam!

    WO CHAMKNE WALA SITARA MAIN HI HO.

    (Seerat e Halbiya,vol:1,pg:30)

  • Hazrath Abu Masood raziallahu taala anhu farmate hain:

    HUZOOR E AKRAM Sallallahu alaihi wasallam ne Hazrath Usman e ghani raziallahu taala anhu ke liye jo duaen farmayi main ne Hazrath Usman raziallahu taala anhu se pehle aur aapke baad kisi ke liye HUZOOR sallallahu alaihi wasallam ko is qadar dua farmate hue nahi suna,

    Aap dua farmate:
    AYE ALLAH ! Usman ko ye ye ataa farma,
    AYE ALLAH ! Usman ko in in chizou se mala maal farma.

    (Kanzul Ummal,Hadith no:36196)

 

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *