- NABI E KAREEM ﷺ ne irshaad farmaya:
Jis din log Rabul Aalamen ke saamne khade honge apne aadhe kanou tak pasine me dube hue honge.
(Sahih Bukhari,hadith no:1461)
- Tum Haraam kamao se bacho sab se zyada ibadat guzar banjouge..
(Jame Tirmizi,Hadith no:2475)
- Raat ko sone se pehle apne din bhar ke ache aur bure Amaal ka jayeza zaroor liya karo….
- Tum agar ALLAH se baqshish ki umeed rakhte ho to tumhe chahye ke uski maqlooq ke saath acha sulook karen.
(Hazrath Sheik Saadi rahmatullah alaih)
- Ummul Mominen Hazrath Syeda Ayesha Siddiqa raziallahu taala anha farmati hain:
HUZOOR NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasllam ki Sahebzadi KHATOON E JANNAT HAZRATH SYEDA FATIMA Raziallahu taala anha se badh kar kisi ko aadaat wo atwaar, Sirat wo kirdaar, Nishist wo barkhast me HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam se Mushabehat rakhne wala nahi dekha.
(Jame Tirmizi,hadith no:3872)
- Kisi ke bare me bura mat soncho hosakta hai ke wo ALLAH TAALA ki Nazar me tum se behtar ho…