NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ki qidmat e aqdas me ek shakhs ka janaza laya gaya ke aap iski namaz e janaza padhayen, to aapne uski namaz e janaza nahi padhayi,
Sahaba Ekram ne arz kiya?
YA RASOOLALLAH Sallallahu alaihi wasallam ! Hum ne Aapko is se pehle kisi ki namaz e janaza tark farmate hue nahi dekha to,
HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Ye shakhs Usman (raziallahu taala anhu) se bugz rakhta tha to ALLAH TAALA ne usko sakht napasand farmaya hai.
(Jame Tirmizi, Hadith no:3709)