Wo kaounsa Amal hai jisko sab se zyada fazilat wala

durood sharif
  • HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:

    Shab e Meraj jab main Jannat me dakhil hua to Hamza bin Abdul Mutallib (raziallahu taala anhu) ne mera Isteqbaal kiya,

    Main ne unse daryaaft kiya:

    Wo kaounsa Amal hai jisko sab se zyada fazilat wala, ALLAH TAALA ke darbaar me Mahboob tareen aur Mizaan me sab se zyada wazni samjhte hain?

    Hazrath Ameer e Hamza raziallahu taala anhu ne Arz kiya:

    Aapki qidmat me DUROOD pesh karna aur Aapki Shaan o Azmath bayaan karna,

    Nez Hazrath Abu Bakar raziallahu taala anhu aur Hazrath Umar raziallahu taala anhu ke Haq me Khuda e Taala se darkhast e Rahmat karna.

    (Nuzhat ul Majalis,vol:1,pg:348)

  • Mout ki saqti Dunya aur aakhirat ki saqti se bahut zyada khoufnaak hai.

    (Hazrath shadaad bin uoos Rahmatullah Alaih)

  • Jo shakhs sabar karta hai ALLAH TAALA usko sabar ataa farmata hai, sabar ki toufeeq se behtar koi ataa nahi hai.

    (Sahih Bukhari)

  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:

    Apne khadimou( gulaam bhayou) ko wahi khilaou, jo khud khate ho aur use wahi pehnaou jo khud pahente ho, aur use uski Himmat se zyada kaam na do aur agar kaam do to uski madad bhi karo.

    (Sunan e Abu Dawood,hadith no:5158)

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *