- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam Momineen se Unki JANOUN (Life) se bhi zyada Qareeb hain.
(Surah Al Ahzaab:06)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Neki ki taraf rehnumayi karne wala Neki karne wale ki tarah hai.
(Jame Tirmizi)
- Hazrath Syeduna Hasan bin Sabit raziallahu taala anhu farmate hain:YA RASOOLALLAH! ﷺ Aap jaisa Haseen meri Aankh ne kabhi nahi dekha aur Aap jaisa Husn o jamaal wala kisi khatoon ko tawallud hi nahi hua,
Aap har Aaib o Alaesh se paak paida kiye gaye goya Aap ko is shaan ke saath paida kiya gaya Jaisa Aap chahte the…..
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Quran ke Aalim aur us par amal karne wale aur Ratou ko zinda rakhne wale (yane ALLAH TAALA ki ibadat me Raten Guzaarne wale) Meri Ummat ke SARDAAR Hain.
(Baihaqi,Hadith No:2703)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:3 logou ki DUA ALLAH TAALA kabhi rad nahi farmata;
1) ALLAH ka kasrat se zikr karne walou ki Dua
2) Mazloom ki Dua
3) Aadil Imaam ki Dua..(Baihaqi ,Shubul Imaan,Hadith No:6973)