- Momin ki meraj namaz hai uske bagair wo ALLAH ka Qurb hasil nahi karsakta.
(Hazrath Khawja Ghareeb nawaz rahmatullah alaih) - NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Yaqinan pehli saf me khade hone walon par ALLAH TAALA Rehmat bhejhta hai, aur uske farishte unke liye Rehmat ki dua karte hai.
(Sunan e Nasai,Hadith no:646) - NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Qayamat ke din mere sab se zyada qareeb wo honge jo kasrat se mujh par Durood o Salaam pesh karte hain.
(Jame Tirmizi,vol:1,pg:110)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Dua faida phunchati hai, aur un balaon ko taalti hai jo nazil hochuki hai aur un balaon ko bhi jo abhi nazil nahi hui,
ISLIYE TUM LOG DUAOn KA EHTEMAM KIYA KARO!!
(Mustadrak,Hadith no:1815)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Jo ALLAH ki raza ke liye sadqa kare to wo uske aur Aagh ke darmiyan parda ban jata hai.
(Majmauzzawaid,hadith no;4617)