- HUZOOR E AKRAM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Zam Zam ka paani agar koi dushman se panah hasil karne ke liye piyega to use panah dijayegi.
(Sahih Muslim)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Haj me Maal kharch karna Jihaad me kharch karne se 700 hisse sawaab me zyada hai.
(Shubul Imaan,Hadith no:3829)
- Haj ke baad duniya se uski raghbat kam hojaye aur Aakhirat ki taraf wo zyada mutawajjeh rahe.
(Hazrath Abu Jaffar rahmatullah alaih)
- Hazrath Abu Huraira raziallahu taala anhu farmate hain:
Main ne HUZOOR E AKRAM Sallallahu alaihi wasallam ki baargah e Aqdas me arz kiya:
Aye ALLAH ke RASOOL Sallallahu alaihi wasallam ! Jab main aapki ziyarat se musharraf hota ho (to tamaam gham bhool jata ho) Dil khushi se Jhoom uthta hai Aankhen Thandi hojati hai.
(Musnad e Ahmed)