- Namaz mat chodo kyun ke zindagi ki saari barkaten isi me hai…
- Khushi insaan ko utna nahi sikhati jitna gham sikhata hai.(Hazrath Ali raziallahu taala anhu)
- Zaroratmand ki madad karne wala ALLAH ka dost hota hai.(Hazrath Khawaja Usman e Haroni rahmatullah alaih)
- HUZOOR E AKRAM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Duniya ko durust rakho, aakhirat ke liye amal karo, istarah se ke kal marjouge.(Kanzul Ummal,pg:546)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Jo ALLAH TA’LA ke diye hue thode se rizq par raazi hogaya, ALLAH TA’LA iske thode se amal par raazi hojayega.(Mishkatul Masabeeh,Hadith no:5031)
- HUZOOR NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Beshak ALLAH TA’LA ka ek farishta hai jiske 2 par hain, ek mashriq aur dusra maghrib me,Jab koi banda mohabbat bhare andaz me mujh par durood bhaijhta hai to wo paani me gouta lagata hai phir apne par jhaadhta hai,
To ALLAH TA’LA uske har qatre se ek farishta paida farmata hai jo mujh par Durood padhne wale ke liye qayamat tak istighfaar karta rahega.
(Al Qawl Ul Badee,pg:213)