- Hazrath muaawiya raziallahu taala anhu ne farmaya :
Main ne kisi bhi khateeb ko Ummul Momineen Hazrath AYESHA SIDDIQA raziallahu taala anha se badh kar balagat wo zahanat wala nahi dekha.
(Al Moujamul Kabeer , hadith no :298)
- Zikr se behtar koi amal nahi hai.
(Hazrath Imaam Gazali rahmatullah alaih)
- Hazrath Abu Huraira raziallahu taala anhu farmate hain:
Main ne HUZOOR E AKRAM Sallallahu alaihi wasallam ki baargah e Aqdas me arz kiya:
Aye ALLAH ke RASOOL Sallallahu alaihi wasallam ! Jab main aapki ziyarat se musharraf hota ho (to tamaam gham bhool jata ho) Dil khushi se Jhoom uthta hai Aankhen Thandi hojati hai.
(Musnad e Ahmed)
- ALLAH TAALA KA IRSHAAD HAI :
NABI E KAREEM ( Sallallahu alaihi wasallam ) Mominon ki Janon se zyada unke Qareeb hain Aur Aapki Azwaaj ( Mutahharaat ) unki mayen hain.
(Surah Al Ahzaab :6)
- HUZOOR NABI E AKRAM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Qayamat ke din Mere sab se zyada qareeb wo honge jo kasrat se mujh par Durood o Salaam paish karte hai.
(Jame Tirmizi,Hadith No:486)