Zil Haj Eid K Ahkaam

Zil Haj Eid K Ahkaam

Zil Haj ki 10 tareekh “Eid Ul Azha” hai.

1-Har musalman par 2 rakaat ba jamaat ba’tor Shukriya ke perhna wajib hai.
Jis par jummah ki namaz parhna wajib hai.

2- Eid ul Azha k din darj zail chizien Masnoon or Mustahab hein:
Subha ko bahot saweray uthna.
Shriyat k mutabik apni aa’raish karna.
Ghusal karna.
Miswaak karna.
Umdah kapray jo pas mojood hon pehenana.
Khushbo lagana.
Eid ki Namaz se pehlay koi cheez Na khana.
Eid Gah mein Eid ki namaz parhna.
Eid Gah subha saweray jana.
Eid ul Azha ki namaz awwal waqt parhna.
EidGah jatay waqt Buland awaz se Takbeer e Tashreek kehna or Paidal Eid Gah jana.

ALLAH HU AKBAR
ALLAH HU AKBAR
LA ILAHA ILLAL LAH
WALLAH HU AKBAR,ALLAH HU AKBAR
WALIL LAHIL HAMD
EID GAH jis rastay se jaye dusray rastay se wapis ghar ana.

Zil Haj Eid K Ahkaam
Zil Haj Eid K Ahkaam

3- jahan namaz e eid perhi jaye wahan us din koi or namaz perhna makruh hai, namaz se pehly bhi or baad,
Haan ghar aa kar namaz e eid k baad perhna makruh nhi
Or namaz eid sy pehlay Ghar mein bhi Nafal prhna Makruh hy.

eid ul azha ki sunnat

4- Aurtien or jo log kisi waja se Namaz e Eid na perhien, un ka Namaz e Eid se pehlay koi Nafal perhna makruh he.
5- Aik shehar mein Eid’ain ki namaz bila’ittefaaq muta’addid jaghoon mein Jaiz hai.

 

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *