- Jo zilhajja ke shuru ke 10 din me kisi raat Ibadat kare goya wo Is saal Haj aur saal bhar Umra karne wale ke barabar ibadat karne wala qarar paayega,
Aur jo shakhs in 10 dinon mein kisi din Roza rakhe to goya usne saal bhar ALLAH TAALA ki Ibadat ki.
(Al Ghunya lit Taalibi Tariqil Haqqi, vol:2,pg:25)
- Ek Shakhs Arfaat me apni sawari par HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ke paas hi tha achanak sawari par se gira aur inteqal kargaya,
NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
usko gusl dekar Ehraam hi me dafan kardo ye Qayamat me TALBEE padhte hue uthega,uska mu aur sar na dhanko.
(Sahih Bukhari)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam se daryafat kiya gaya:
Kaounsa Haj Afzal hai?
Aap ne irshaad farmaya:
Jisme baland Awaaz se Talbee kaha jaye aur qurbani ki jaye.
(Jame Tirmizi,Hadith no:827)