Zuhar ki 4 sunnaton ka sawaab aisa hi hai, Jaise Tahajjud ki 4 Rakaat ka

Namaz
    • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Zuhar ki 4 sunnaton ka sawaab aisa hi hai, Jaise Tahajjud ki 4 Rakaat ka, Zuhar ke waqt ALLAH ki tamaam maqlooq uski Hamd o Sana Bayaan karti hai.(Jame Tirmizi)
    • Apne amal par naaz wo bharosa hargis na karo, ALLAH ka FAZAL amal par mouqof nahi hai.(Hazrath Abul Hasan Noori rahmatullah alaih)

  • Apni lambi lambi umidou ko kam karo aur hirs ko kam karo, isliye ke tumhe anqareeb marna hai.(Hazrath Sheik Abdul Qader jilàni raziallahu taala anhu)
  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Jab log majlis e zikar me baith kar ALLAH TAALA ka zikar karke uthte hain to unhe kaha jata hai:Khade hojao! ALLAH ne tumhare gunah baqsh diye hain, Tumhare gunah nekiyon me badal diye gaye hain.

    (Shubul Imaan,Hadith no:695)

  • HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ki qidmat me arz kiya gaya:Aap us shakhs ke baare me kya irshaad farmate hain:jo neik amal karta hai aur us par log uski tareef karte hain?HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:

    Wo Momin ko jald milne wali khushkhabri hai.

    (Sahih Muslim,hadith no:6891)

     

Comments

comments

3 thoughts on “Zuhar ki 4 sunnaton ka sawaab aisa hi hai, Jaise Tahajjud ki 4 Rakaat ka

  1. nazr ki hafazt ke hawle se kuch share kr djye.mobile internet tv aor social media k istmal krne se naojawan musliman deen se dor aor behayai ki trf brte ja re ha dunya ki haws br ri ha .islye muslimano k jazba iman kazor hta ja ra ha.facebook youtub taweetr se mra khayl muslim jawano ko dor rna bht zarori wrna neghaon ki hifzat mumkin nai ha.plz is hawle se kuch behtreen qalm urdu english dno ma share kr djye /
    JAZAK ALLAHU KHAIR

    1. InshaAllah we will make sure that this information should be published ASAP.
      Thanks for making this point.
      JazakAllah

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *