- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne hazrath Abdullah bin khabeeb raziallahu taala anhu se farmaya:Tum rozana subah shaam 3 martaba surah ikhlaas aur surah falaq aur surah Naas padha karo, ye surten har nuqsaan dene wali cheez se tumhari hifazat ka zarya honge.
(Jame Tirmizi,hadith no:3575)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Quran ke Aalim aur us par amal karne wale aur Ratou ko zinda rakhne wale (yane ALLAH TAALA ki ibadat me Raten Guzaarne wale) Meri Ummat ke SARDAAR Hain.
(Baihaqi,Hadith No:2703)
- Jo Banda bhi Raat ko ba Wazu soye phir Raat me Achanak uski Aankh khule to us waqt wo Dunya ya Aakhirat ki jo cheez bhi maangega ALLAH TAALA use zaroor Ataa farmayege.(Sunan e Ibne Maajah,Hadith No:3881)
- Yaqinan ! ALLAH ke Doston par na koi khouf hai aur na wo Ghamzada honge.(Surah Yunus:62)
- Zindagi ka sab se qimti hissa wo hai jo ALLAH TAALA ki Khushnoudi ke liye sarf kiya jaye.
- Wo Imaan walou ke liye maghfirat talab karte hain aur kehte hain ke aye hamare rab! To ne har cheez ko apni rehmat aur ilm ke Ahate me liya hua hai, so to un mominou ko baqshde jo touba karte hai.(Surah Al Momin:7)
- Neik Aourat Deen ka sutoon aur ghar ki raounaq hoti hai, Aur Ita’at e Ilaahi me shuhar ki madadgaar.(Hazath Hatim rahmatullah alaih)
- NABI E AKRAM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:” ALLAH TAALA ne farmaya:
Meri Mohabbat wajib hogayi
meri khatir mohabbat karne walou ke liye,
meri khatir majlisen qayem karne walou ke liye,
meri khatir ek dusre se milne walou ke liye aur
meri khatir kharch karne walou ke liye..”(Ibne Hibban,Hadith No:575)