NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam

NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam

HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Jannat me koi darakht aisa nahi jiska tana sone ka na ho.
(Jame Tirmizi,hadith no:2525)

NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Jis Aourat ne is haal me inteqaal kiya ke uska shuhar us se raazi tha to wo Jannat me dakhil hoga.
(Jame Tirmizi,hadith no:1161)

NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Quraan e shareef ki kasrat se tilawat karne wala qayamat ke din khaas muqarrab farishtou ke saath saf me khada hoga.
(Sahih Muslim)

HUZOOR E AKRAM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Hum Ahle Bait ki mohabbat ko laazim karlo! kyun ke jo shakhs ALLAH TAALA ke darbaar me is haal me hazir ho ke wo hamari mohabbat se sarshaar ho to wo hamari shafa’at se jannat me dakhil hoga.

us zaat ki qasam jiske qabza e qudrat me meri jaan hai! kisi bande ko uska amal faida nahi puhanchayega magar hamari qadr o manzilat ko maanne ke baad…
(Al Moujamul Aousat,Hadith no:2320)

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *