Nabi kareem sallallahu alaihi wasallam ki hadees :

* Hazrath Abu Hurairah Radhiyallahu Anhu se rewayat hai ki Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne irshaad farmaya:
“Imaan ki sattar se ziyada shakhein hai! Unme sab se afzal shakh “La Ilaha Illallah ” ka kehna hai aur adna shakh takleef dene wali cheezon ka raste se hatana hai aur haya imaan ki ek (Eham) Shakh hai”!
* Hazrath AbuHurairah Radhiyallahu Anhu se rewayat hai ki Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne irshaad farmaya:
Apne Imaan ko taza karte raha karo! Arz kiya gaya: Aey Allah ke Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ham apne imaan ko kis tarha taza karien?
Irshaad Framaya : La Ilaha Illallah ko kasrat se kehte raha karo!”
Related Link:
Shahada
la ilaha illallah