Hazrath Ibne Abbas (RA) riwayat karte hai ki Hazrath Abubakar Siddique (RA) ne arz kiya :
Ya Rasoollallah! Aap par budapa aa gaya? Aap sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya :
Muhje… surah : Hud, surah: Waqiah, surah : Mursalat, surah : Amma yatasa alun aur surah : iza shamsu kuwirat (Al Takweer) ne buda kar diya!

Faida : Buda islye kar diya ki in suraton me Qayamat aur aakhirat aur mujrimon par Allah Taa’la ke azaab ka bada haulnaak bayaan hai!
Related Links:
Surah Hud
Surah Al-Mursala
surah amma yatasa alun
Surat Al-Takweer