- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Beshak momin ka sadqa mehsar ke din uske liye saya e rahmat hoga.
(Musnad e Imaam e Ahmed;hadith no:18530)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Jo shakhs apne kisi musalman bhai ko musibat me tasalli deta hai ALLAH TA’LA Qayamat ke din use Izzat ka libaas pehnayega.
(Al Targheeb Wat Tarheeb,vol:4,pg:344)
- Neik logou ke saath rehne wala nakaam wo namuraad nahi hota.
(Hazrath Shahaab uddin seharwardi rahmatullahi alaih)
- Namaz deen ka Rukun hai aur Rukun Sutoon hota hai, pas Sutoon Qayem hogaya to rukun bhi qayem hogaya.
(Hazrath Khaja Gareeb Nawaaz rahmatullah alaih)
- HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne HASAN AUR HUSAIN Raziallahu taala anhuma ke liye farmaya :
Jisne inse Mohabbat ki usse Main ne Mohabbat ki , aur jis se Main Mohabbat karo usse ALLAH TAALA Mohabbat karta hai,
aur jisko ALLAH TAALA Mahboob rakhta hai use Nematou wali Jannatou me Dakhil farmata hai.
(Al Moujamul Kabeer , hadith no :2655)
Namaz deen ka Rukun hai
