Thursday-18-04-24


Zil Hajja Mubarak – The month of pilgrims

HUZOOR NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: Zilhajja ke Ibtedayi 10 dinou me ki jaane wali Ibadat ALLAH TAALA ki baargah me dusre dinou me ki jane wali ibadat se zyada Mahboob wo pasandida hai, Isme ek din ka roza saal bhar ke rozou ke barabar ajar o sawaab rakhta hai, Aur Iski ek raat ka qiyaam Shab e Qadar me Ibadat karne ke barabar Ajar o Sawaab rakhta hai. (Jame Tirmizi,hadith no:763)

Al Hadith- Jame Tirmizi

NABI E KAREEM Sallallaho Alaihi wa Sallam ne HASNAIN KARIMAIN Radiallahu Taala Anhuma se Mutalliq irshaad farmaya:ye dono mere shehzade hain aur meri shehzadi ke shehzade hain , Aye ALLAH ! Main in dono se Mohabbat karta ho, to bhi in dono se Mohabbat farma aur jo shakhs inse mohabbat rakhe usko apna mahboob banale. (Jame Tirmizi,Hadith No:4138)

Todays Date
1st Ramadan