Saturday-18-05-24


Sahih Muslim

Logaou ke Aamaal har hafte me do martaba peer (monday) aur jumerat (Thusday) ko paish kiye jate hain, aur har momin bande ko bakhsh diya jata hai siwaye us bande ke jiske darmiyan aur uske bhai ke darmiyan bugz ho to kaha jayega: un donou ko chodh do yaha tak ke wo donou baaz ajayen (yane apas me sulah karlen). (Sahih Muslim,Hadith No:2565)

Hajj kaba

Sahih Muslim

Huzoor NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne khutba irshaad farmaya: Aye logo! Tum par Haj farz kiya gaya hai, Ek shakhs ne arz kiya: YA RASOOLALLAH ! Sallallahu alaihi wasallam kya har saal Haj farz hai? Aap sallallahu alaihi wasallam khamosh rahe yaha tak ke 3 martaba usne yehi arz kiya, Uske baad HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: Agar main haan kehdeta to (har saal ) farz hojata aur phir tum uski taqat na rakhte. (Sahih Muslim, Hadith no:1337)

Al Hadith- Sahih Muslim

The Messenger of Allah (Sallallahu ta’ala alayhi wa sallam) said: “Allah the Exalted said: Every deed of the son of Adam is for him except fasting, for it is done for My sake and I will reward it.” The Prophet added, “By Allah in whose Hand is the soul of Mohammed, the (bad) breath of a fasting person is sweeter to Allah than the fragrance of musk.” [‪#‎Sahih‬ ‪#‎Muslim‬ ‪#‎Hadith‬ No 1151] Sallallahu ta’ala alayhi wa sallam

Sahih Muslim Shareef

HUZOOR E AKRAM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: Tum me wo kaoun shakhs hai jis ne aaj miskeen ko khana khilaya ? Hazrath Abu Bakr Siddiq raziallahu taala anhu ne arz kiya:Main! HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: Tum me aaj kisne mariz ki iyadat ki? Hazrath Abu Bakr Siddiq raziallahu taala anhu ne arz kiya:Main! HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: Ye khaslaten jis kisi me jama hojayen wo JANNAT me dakhil hoga. (Sahih Muslim,Hadith NO:6333)

Todays Date
1st Ramadan