Eid ki Sunnat

Eid celebrations in Hyderabad
  • HUZOOR NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:

Jo shakhs Eid ke din 300 martaba “SUBHANALLAHI WA BIHAMDIHI” padhe aur Musalmanon ki rooh ko iska sawaab baqshe to har musalman ki qabar me ek hazaar Noorani Rahmaten dakhil hoti hai aur jab ye padhne wale shakhs ka inteqaal hota hai to ALLAH TAALA iski qabar me ek hazaar Noorani Rahmaten dakhil farmayega.

(Mukashifat ul Quloob,pg:650)

  • Eid ke din Miswaak karna Sunnat hai.

    (Musannaf Abdul Razzaq,pg:308)

  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam namaz e Eid ke liye paidal tashreef lejaya karte aur jis raste se tashreef lejate the uske alawa raaste se wapas hote the.

    (Sunan e Ibne Majah,pg:92)

  • HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam Eid ul Fitar ke din chand khajoor khaye bagair namaz e eid ke liye tashreef nahi lejaya karte aur Aap Sallallahu alaihi wasallam un khajorou ko taaq adad me tanawal farmaya karte.

    (Sahih bukhari,voL:1,pg:130)

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *