Hazrat Ibne Abbas (RA) se riwayat hai

Hazrat Ibne Abbas (RA) se riwayat hai
  • Hazrat Ibne Abbas Radhiyallahu Anhu se riwayat hai ki Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne irshaad farmaya:

    ALLAH TAA’LA ne jab se Israfeel alaihis salam ko paida farmaya hai wo dono paon barabar kiye khade hai nazar upar nahi uthate! Unke aur Parwadigar ke darmiyan noor ke sattar parde hai, har parda aisa hai ke agar Israfeel alaihis salam uske kareeb bhi jaye to jal kar raakh ho jayenge!

  • Hazrat Jurarah Bin Aufa Radhiyallahu Anhu se riwayat hai ki Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne irshaad farmaya:

    Kiya tumne apne rab ko dekha hai? yeh sunkar Jibril alaihis salam kamp uthe aur arz kiya : Aey Mohammed  Sallallahu Alaihi Wasallam ! mere aur unke darmiyan to noor ke sattar parde hai, agar mai kisi ek ke nazdeek bhi pahunch jaon to jal jaon!

    Hazrat Ibne Abbas (RA) se riwayat hai
    Hazrat Ibne Abbas (RA) se riwayat hai
  • Hazrat Ibne Abbas Radhiyallahu Anhu Se Riwayat Hai Ki Nabi E Kareem Sallallahu Alahi Wasallam Zohar Aur Asar Ki Namazo Ko Bhi Mila Kar Padh Lete Jab Safar Par Nikalte Aur Isi Tarah Maghrib Aur Isha Ko Bhi Milakar Padh Lete [Sahi Bukhari Hadith 1107]

    Hadees Se Malum Hua Ki 2 Namazo Ko Ek Sath Padhna Safar Me Jaiz Hai Ek Sath Padhne Ki 2 Shakle Hai

    (1) Jama Taqdim: Yani Zohar Ke Sath Asar Aur Maghrib Ke Sath Iisha

    (2) Jama Takhir: Asar Ke Sath Zohar Aur Isha Ke Sath Maghrib Padhna
    Aur Ye Dono Shakle Safar Ke Mauqe Par Jaiz Hai

    Related Links:
    Jibreel Alaihis Salaam
    Abd Allah ibn Abbas

     

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *