Shab E Baraat ( 15 shabaan ke din ) ki fazilat 

SHAB E BARAAT ( 15 SHABAAN KE DIN ) KI FAZILAT

15 shabaan ke din ) ki fazilat

Ek Hadees mein Huzur sallallahu alayhi wasallam ne farmaya ke shabaan mera mahina he or ramdan ALLAH ka mahina he.
sach me shabaan khub barkat wala mahina hai.

Ek baar Huzur sallallahu alayhi wasallam bethe the.
itne me mshur sahabi Hazrat usama bin zaid radiyallahu ta’ala anhu waha aaya

aur kaha : Ya Rasulallahu ! sallallahu alayhi wasallam aap shaban me k mahine me dusre mahino se ziydah roze kyun rakhte ho?

Aap ne farmaya : usama ! shaban bahot barkat wala mahina he lakin log uski fazilat se gafil he ye mahina rajab or ramdan ke bich mein hai.

ye mahine me bande ke aa’amal bargahe ilahi me pesh kiye jate he .
roza ki halat me mere aa’amal ALLAH ki bargah me pesh kiye jaye wo baat mujhe bahot pasand hai is liye me is mahine dusre mahino se ziyadah roza rakhta hu.

ye mahine me ek raat aati he jisko shab e baraat kehte hai
shabe barat 14 tarikh or 15 tarikh k bich ki raat ku kehte hai . Ye khub barkat wali raat hai.

is raat me ALLAH RABBUL IZZAT ki taraf se rahmate or barkate barish ki tarah girti hai . is liye ise ” shabe rahmat ” or ” shabe barkat “bhi kehte he.

ahadees me is raat ki bahot fazilat aai hai
ek haades me he k ek baar huzur sallallahu alayhi wasallam ne shaban ki 15 raat ku Hazrath Aaisha Siddika Radiyallahu Ta’ala anha ku pucha :

Aaisha ! jante ho is raat me kya barkate utarti hai.?

un hone kaha “ya rasulallah sallallahu alayhi wasallam kya barkate uuatrti hai ?

aapne farmaya is raat me pure saal ke darmiyan paida hone wale or maut hone walon ka list banaya jata he.
or kis ko kitni rozi milegi wo bhi likh diya jata he. is raat ke bare me qura’an majid me bhi zikar he.
qura’an majid me ek jagah ALLAH ne farmaya hamare hukam se is raat ku hikmat wala kaam diya gaya he.

shab e baraat me ibadat karne ki bahot fazilat hai.
ek hadees me hai ke is raat me namaz padho or din me roza rakho.
isi liye is raat ku namaz padho, ALLAH ka zikar karo,ALLAH ki bandagi karo ,salatuttasbih ki namaz padhe
,gunaho ki tauba karo or din me roza zarur rakhe.
shaban mahine ki 15 tarikh ku roza rakhna mustahab hai.
ek rivayat me he k is raat me kabila qalb ki bakriyon ke baal barabar jahannam se logon ku aazad kiya jata hai.

lakin kitne badnasib is sa’adat se mahrum reh jate hai.
isme mushrik , keena rakhne wala , maa-baap ka nafarman ,sharabi ,rishta todne wala or takno se niche payjama ,pent, pehennewala is raat ku ho sake to qabristan jake murdo ku isale sawab bhi karna chahiye q k hamare nabi sallallahu alayi wasallam bhi ek baar is raat ku qabristan gaye the

Shab e Barat ka Roza ki Fazilat

Hadees : Jo shab e baraat ke agle din ka roza rakhega use 1 Hajj ka sawab milega aur uske 2 saal ke gunah maaf kar diya jayega jo ye baat dusre ko batayega usko bhi Allah Taala Sawaab dega- InshaAllah

ALLAH HAM SAB KU IS RAAT KU IBADAT KARNE KI TAUFEQ ATAA FARMAVE OR HAMARE UPER KHUB BARKATATAA FARMAAVE AAMIN.

Comments

comments

2 thoughts on “Shab E Baraat ( 15 shabaan ke din ) ki fazilat 

  1. Jahan pr 80 saal ke gunaah maaf hona likha hota hai uska y mtlb log smjhte hain k 80 saal y kaise ho skta hai..
    Iska mafhoom y hota hai k sawab itni miqdar me ya itna zyada milta hai k usko alfazo me batane k lye y alfaz istemal kiye jaate hain 80 saal ..islye ap log hadees pr shak na kiya kre..aur aisi baate na kiya kre agr aisa hota to log haj hi na krte..y bhi to dekhye log itne gunaah kr dete hain..usse saari nekiyan saaf ho jati hain jaise astura baalo ko saaf kr deta hai..Misaal k taur pr
    Ek hadees ka mafhoom hai k jo insan hasad jalan rkhta hai ksi se to uski nekiyan aise saaf ho jati hain k jaise astura baalo ko saaf kr deta hai….
    aur ap jo bhi nekiyan krte hain agr apne ksi k dil dukhaya ksi ko gali di ksi ka ksi bhi tarah se haq mara to ap ki nekyan use de di jaengi…
    Aur han quran ki ayat ka mfhoom hai…ballighu anni wlau ayah..
    Agr apne ek alif bhi seekha hai use dusro tk pahunchaeye farz hai..islye dusro tk pahunchana zruri bhi hai aur iska swab bhi hai jo krne wale k barabr milta hai .
    Abhi bhi ksi ko doubt ho baat na smjh ai ho..to 7784989363

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *