Thursday-25-04-24


Qurbani ki Fazilat

Sahaba Ekraam raziallahu taala anhum ne arz kiya: YA RASOOLALLAH Sallallahu alaihi wasallam ! Ye qurbaniya kya hain? HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: Tumhare walid Ibrahim Alaihissalaam ki Sunnat hai, Sahaba Ekram ne arz kiya: To isme hamare liye kya hai YA RASOOLALLAH Sallallahu alaihi wasallam? HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: Chote se baal ke badle ek azeem neki hai, Sahaba Ekraam ne arz kya: YA RASOOLALLAH Sallallahu alaihi wasallam ! Phir uoon ke baare me kya hukum hai? HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: Uoon ke chote se baal ke badle ek azeem neki […]

Sahih Muslim

Logaou ke Aamaal har hafte me do martaba peer (monday) aur jumerat (Thusday) ko paish kiye jate hain, aur har momin bande ko bakhsh diya jata hai siwaye us bande ke jiske darmiyan aur uske bhai ke darmiyan bugz ho to kaha jayega: un donou ko chodh do yaha tak ke wo donou baaz ajayen (yane apas me sulah karlen). (Sahih Muslim,Hadith No:2565)

Fazail e Arfa

Huzoor NABI e RAHMAT Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: Jab Arfe ka din hota hai to ALLAH TAALA Asmaan e Duniya par Nuzul e Ijlaal farmata hai aur farishtou ke saamne maidan e Arafat me jama hone walou par faqr farmata hai aur Irshaad farmata hai: Aye Farishto! Tum mere bandou ko dekho ke wo meri baargah me paraganda baal, gard Aalod chehrou me dur daraz tang aur kushada raastou se chal kar yaha hazir hain, Tasbeeh wo tehleel,zikar wo talbiya karte hue mujhe pukaar rahe hain, Aye Faristo! Tum gawah raho Main ne un sab ko baqsh diya, […]

Hajj kaba

Sahih Muslim

Huzoor NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne khutba irshaad farmaya: Aye logo! Tum par Haj farz kiya gaya hai, Ek shakhs ne arz kiya: YA RASOOLALLAH ! Sallallahu alaihi wasallam kya har saal Haj farz hai? Aap sallallahu alaihi wasallam khamosh rahe yaha tak ke 3 martaba usne yehi arz kiya, Uske baad HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: Agar main haan kehdeta to (har saal ) farz hojata aur phir tum uski taqat na rakhte. (Sahih Muslim, Hadith no:1337)

Zil Hajja Mubarak – The month of pilgrims

HUZOOR NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: Zilhajja ke Ibtedayi 10 dinou me ki jaane wali Ibadat ALLAH TAALA ki baargah me dusre dinou me ki jane wali ibadat se zyada Mahboob wo pasandida hai, Isme ek din ka roza saal bhar ke rozou ke barabar ajar o sawaab rakhta hai, Aur Iski ek raat ka qiyaam Shab e Qadar me Ibadat karne ke barabar Ajar o Sawaab rakhta hai. (Jame Tirmizi,hadith no:763)

Sunan Abu Dawud Hadith

Umar ibn Al-Khattab reported: The Prophet, peace and blessings be upon him, said, “Verily, there are some people among the servants of Allah who are neither prophets nor martyrs, yet the prophets and martyrs will admire them due to their status on the Day of Resurrection.” They said, “O Messenger of Allah, tell us who they are.” The Prophet said, “They are people who love each other with the spirit of Allah and not because of family relations or wealth. By Allah, there will be light on their faces and they will be upon light. They will have no fear […]

RAMZAN UL MUBARAK

RAMZAN UL MUBARAK KO KALAAM E ILAAHI SE KHAAS MUNASABAT HAI… Hazrath IBRAHIM alaihissallaam par pehli RAMZAN UL MUBARAK ko SAHIFA Nazil hua , Hazrath MOSA Alaihissalaam ko 6 RAMZAN UL MUBARAK ko TOUREET Nazil hua , Hazrath DAWOOD Alaihissalaam ko 12 RAMZAN UL MUBARAK ko ZABOOR Nazil hua , Hazrath EISA Alaihissalaam par 18 RAMZAN UL MUBARAK ko INJEEL Nazil hua , Aur SYEDUL AMBIYA HAZRATH MOHAMMED MUSTAFA AHMADE MUJTABA Sallallahu alaihi wasallam ko 27 RAMZAN UL MUBARAK ko QURAAN E KAREEM Nazil hua… (Fazail e Ramzan :pg:39)

The deliberate poverty of the Holy Prophet (Sallallahu alaihi wa sallam)

It is clear from the words of the Holy Prophet (Sallallahu alaihi wa sallam) that the highest (spiritual) stations can be achieved by intentional poverty.  For the just folk, the Holy Prophet (Sallallahu alaihi wa sallam) actually demonstrated that with Prophethood, nothing else in intended except following the command of Allah Most High. And I do not ask you any reward for it; my reward is only with the Lord of the worlds.  Surah Shu’ara (26:109) Here is a fine demarcation between those who are on the right path and those who seek to fill their own coffers…. It is […]

Todays Date
1st Ramadan