Tuesday-19-03-24


Zilhajja Ke Fazail

Ashr e Zilhajja Ke Fazail Aur Usme Karnewale Aamaal

Jo shakhs Ashr e Zilhajja ki Izzat wo Ehteraam karta hai ALLAH TAALA use 10 tarah ki Izzaten ataa farmate hain: 1) Umar me Barakat 2) Maal me khushadgi 3) Aoulaad ki hifazat 4) Gunahon ka kaffara 5) Nekiyon me Izafa 6) Qabz e Rooh me Aasani 7) Andheron me Roushni 8) Mizaan ka bhari hona 9) Tabaqaat e Jahannum se Najaat 10) Jannat ke Darajaat me balandi ka Husool. (Al Ghuniya lit Talibi Tariqi lil Haqqi, vol:2) Zil Hajj Ke Mahine Ke Fazail Aur Usme Karnewale Aamaal

Month of Rajab

Jisne Rajab ke pehle din ka roza rakha ALLAH TAALA us se 60 Saal ke gunah mitadeta hai

NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: Jisne Rajab ke pehle din ka roza rakha ALLAH TAALA us se 60 Saal ke gunah mitadeta hai, Jo shakhs Rajab ke 15 Din roze rakhe ALLAH TAALA uska hisaab Aasaan kardega, Aur jo shakhs Rajab ke 30 Roze rakhega ALLAH TAALA uske liye Apni khushnoudi Likhdeta hai aur use azaab nahi dega. (Ghunyatut Talibi Lit Tariqil Haqqi,vol,1) Jab Rajab ka mahina aata to HUZOOR NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam istarah Dua farmate:Aye ALLAH ! Hamare liye Rajab aur Shaban ko babarkat banade , Aur Hame Ramazan tak phuncha !(Ghunyatut […]

Fazail e Arfa

Huzoor NABI e RAHMAT Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: Jab Arfe ka din hota hai to ALLAH TAALA Asmaan e Duniya par Nuzul e Ijlaal farmata hai aur farishtou ke saamne maidan e Arafat me jama hone walou par faqr farmata hai aur Irshaad farmata hai: Aye Farishto! Tum mere bandou ko dekho ke wo meri baargah me paraganda baal, gard Aalod chehrou me dur daraz tang aur kushada raastou se chal kar yaha hazir hain, Tasbeeh wo tehleel,zikar wo talbiya karte hue mujhe pukaar rahe hain, Aye Faristo! Tum gawah raho Main ne un sab ko baqsh diya, […]

Todays Date
1st Ramadan