Friday-26-04-24


Naam e Mubarak zameen mein MOHAMMED ﷺ hai to Aasmano mein AHMED ﷺ

NABI E AKRAM صلى الله عليه وسلم  ka Naam e Mubarak zameen mein ” MOHAMMED ” (Bahut zyada tareef ki hui zaat) صلى الله عليه وسلم  hai to Aasmano mein “ AHMED ” (Bahut zyada tareef farmane wale) صلى الله عليه وسلم  hai. NABI E AKRAM صلى الله عليه وسلم  ke naam e mubarak me jumla 4 huroof hai aur ALLAH TAALA ke Isme paak ALLAH me bhi 4 huroof hai.     (Subul ul Huda war Rashaad,vol:1,pg:408)  

Jab Hazrath Eisa Alaihissalaam ki wiladat hui to

Jab Hazrath Eisa Alaihissalaam ki wiladat hui to

Quraan e Kareem ne Hazrath EISA Alaihissalaam ki wiladat ka zikar kiya: Jab Hazrath Eisa Alaihissalaam ki wiladat hui to Aapne farmaya: ” Aur ALLAH TAALA ne mujhe namaz ki wasi’at ki hai” ( Surah Maryam:31) HAZRATH EISA Alaihissalaam jo ke roohullah hai Namaz ki Wasi’at ka zikr karte hue aaye hain aur Syed ul Ambiya Hazrath MOHAMMED MUSTAFA Sallallahu alaihi wasallam HABIB E KHUDA Hain jo Amali tour par Rukne Namaz ” SAJDA ” adaa karte hue Jalwagar hue…. (Subul ul Huda War Rashaad,vol:1,pg:343)

Hauz E Kausar

Hauz E Kausar

NABI E KAREEM ﷺ ne irshaad farmaya: Mera Houz ek mahine ki masafat ka hai, aur iske tamaam kinare barabar hai, iska paani doodh se zyada safaid aur uski khushboo mushk se zyada khusbudaar, aur uske bartan aasman ke sitarou ki tarah chamakdaar hain, jo usse piyega wo kabhi piyasa na hoga. (Sahih Bukhari,Hadith no:6579)

Todays Date
1st Ramadan