Tuesday-19-03-24


Durood Sharif to be recited on Friday after the Asr Salaat

Durood Sharif to be recited on Friday after the Asr Salat. Allahumma salli alaa Muhammaddin-innabiyyil-ummiyyi wa alaa aalihi wa sallim tasleema (Zadus Saeed, Al-Qaulul Badi) Hazrat Abu Huraira (RA) narrates: “The person who recites this Durood Sharif 80 times on Friday after Asr Salaat before standing up from his place sins of 80 years will be forgiven by Allah and worship of 80 years will be written for him. So women should not consider themselves deprived from these virtues as they too can gather them by reciting this particular Durrod.

DAROOD SHARIF

What is Durud- Durud ki fazilat

What is Durud? Durud :- Khuda ke hukm par amal karne vala amal hai. Durud :- Nabi ki bargah ka tohfa-e-salaam hai. Durud :- Gunah ke mafi ka zariya hai. Durud :- Nabi ki qurbat ka sabab hai. Durud :- Kayamat ke din ka noor hai. Durud :- Qabr ki thandak hai. Durud :- Shafa’at ka sabab hai. Durud:- 100 hajate puri karne wala hai. Durud :- Paak hooney ka sabab hai. Durud :- Nabi tak pahonchane wali aawaz hai. Durud :- Insan ke liye 1 sadka hai. Durud :- Khuda ko razi karne wala wazifa hai. Durud :- Gunaho […]

Prophet MUHAMMAD (saw)

BRIEF BIOGRAPHY OF THE HOLY PROPHET ﷺ

BRIEF BIOGRAPHY(It is incumbent on every muslim to know it therefore brief features are explained here) OF THE HOLY PROPHET (that means virtuous and auspicious life sketch of Rasool-e-kareem) (ﷺ) 1۔ His Spirit was created at first and appeared in the last. 2 He was born on Monday 12th Rabiul Awwal(Fifty Three years before the invent of Hijra calendar) in Makkah at dawn some fifteen hundred years back(According to the famous version). 3 He hails from Quresh Family and descendant of the prophet Hazrat Ismail (A.S.) 4 The names of his immediate ancestors upto four generations are as follows:-(they are […]

70 ANGELS RECORD REWARDS FOR 1000 Day

قال الله تعالى: إِنَّ اللہَ وَمَلَائِكَتَهُ يُصَلُّونَ عَلَى النَّبِيِّ يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا صَلُّوا عَلَيْهِ وَسَلِّمُوا تَسْلِيماً Undoubtedly, Allah and His angels send blessings on the prophet the Communicator of unseen news, O you who believe! Send upon him blessings and salute him fully well in abundance. Surah Al Ahzab -33, Aayat 56 If recited once, a person will gain as much deeds (sawab) as if 1000 angles write deeds for 70 days or if 70 angles write deeds for 1000 days, still won’t be able to write them all. (Hazrath Abdul Wahab Sherani – MIZAN)      

Is durood se sare tensions dur hojaynge

Is Durood E Paak ki Fazilat se sare Tensions Dur

Is Durood E Paak se sare Tensions Dur Hojayenge Hamare Nabi ne farmaya agar koi mera ummati subha mein ek martaba is durood e paak ko padhle, raat ko sone pehle ek baar is durood ko padhle, Hamare Nabi Kareem Sallalahu Alaihi Wassalaam farmate hai Allah subhan Allah Tala uski saari fikaron (Worries) ku dur karte hai, sare gamon (Sadness) ko dur kardenge, sare tension ko dur kardenge  

Friday Hadith

Jo Juma ke din ya raat me

NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Jo Juma ke din ya raat me Surah “Haa meem Dukhan” padhega, ALLAH TA’LA Jannat me uske liye ek ghar banayega.(Al Moujamul Kabeer,hadith no:8026). Majlison ki zinat NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam par DUROOD padhne se hai, lehaza tum apni mehfilou ko Durood e Paak padh kar zinat do. (Ummul Mominen Hazrath Syedatuna Ayesha Siddiqa raziallahu taala anha) NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Mujh par kasrat se Durood padho Beshak tumhara Durood padhna tumhare liye gunah’on ki maghfirat hai.(Al Jame Al Saghir,hadith no:1406). NABI E KAREEM sallallahu alaihi […]

muhammad sallallahu alaihi wasallam farmate hai

NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya

NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Musalman ko bimari ki wajeh se ALLAH TA’LA uske gunah is tarah khatam kardeta hai jis tarah aagh sone aur chandi ke mail kucail ko khatam kardeti hai.(Sunan e Abu Dawood,hadith no:3092) Jab bhi koi shakhs NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam par Durood bhejhta hai, wo Durood HUZOOR E AQDAS Sallallahu alaihi wasallam ki baargah me us shakhs ke naam ke saath pesh kiya jata hai.(Al Qawl ul Badee,pg:300) Wo momino ki janon se bhi qareeb hue, Kaha se kisne pukara HUZOOR (sallallahu alaihi wasallam) jante hai.. NABI E KAREEM Sallallahu alaihi […]

Durood

THE VIRTUES EXCELLENCE AND REWARDS OF DUROOD SHARIF

“As He (Sallallahu alaihi wasallam ) walked in Makkah, every tree and stone we had passed began to say assalamu alayka yaa Rasullalah Sallallahu alaihli wasallam.(Hazrath Imam Ali Raziallahu taala anhu) The first man who will meet the Prophet (Sallalahu Alaihi Wasallam) on the day of Judgement will be that person who had recited the durood maximum number of times in his life time. Anas Bin Maalik (Razi Allahu Anhu said: Verily the Prophet (sallalla hu alaihi Wasssallam ) said: Whoever sends Salah upon me once Allah will send ten upon him remove ten of his sins and raise his […]

hadith

Mujhe kaise yaqeen ho ke aap NABI hain?

Hazrath safwan bin Assal raziallahu anhu farmate hai: Qaoum e Yahood ke baaz Afraad HUZOOR NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ki Qidmat me hazir hue aur sawaal karne ke baad alaniya gawahi di ke HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ALLAH ke Sacche RASOOL hain, Unho ne HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ke Dast e mubarak aur Qadam e Mubarak ko Bosa diya, Aur Kaha: Hum Gawahi dete hain ke Beshak AAP NABI (sallallahu alaihi wasallam) hain. Subhan Allah! (Sunan e Ibne Majah,hadith no:3705). Ek dehati HUZOOR NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ki qidmat e aqdas me hazir hue aur arz kiya: […]

Surah E Kausar

Houz E Kauser ke bartan sitaron ke barabar honge

NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Houz E Kauser ke bartan sitaron ke barabar honge, us se jo bhi insaan ek ghont pilega, to hamesha ke liye uski piyaas bujh jayegi.(Sunan e Ibne Majah, Hadith no:4303) Wo mominon ki jaanon se bhi qareeb hue, Kaha se kisne pukara HUZOOR (sallallahu alaihibwasallam) jante hai…Subhan Allah! HUZOOR NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam Jab Raat ko Tashreef laate to Fiza me KHUSHBOO ke phelne se AAP Sallallahu alaihi wasallam ki pehchan hoti..(Musannaf Ibne Abi Shaiba;hadith no:2632) NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:ALLAH TAALA ko wo amal bahut pasand hai […]

Shaban - Durood Month

Shabaan – The month of Durood

The month of Shabaan is also called as “Shahrus Salaah” The verse of Durood was revealed in the month of Shabaan and the command for Durood was given to us in this month, so for this reason we are asked to send a lot of Durood on the Holy Prophet Mohammed (ﷺ) in this month. As given in Ghuniya Lit talibi tariqil haqqi, Vol. 1, Pg No: 188: Translation:  In this month the doors of good/mercy  are opened and blessings descend, sins are forgiven and wiped out and lots and lots of Durood is sent to the presence of the Holy […]

Allah Ka Zikr

ALLAH ka Zikr karne Walon

Quraan e Kareem ki Tilawat se ALLAH TAALA ki Mohabbat me Izafa hota hai, Dil ka zang dur hota hai, har harf par 10 nekiyan milti hain.. Rajab Jism ko, Shaban Dil ko , aur Ramzan ul Mubarak Rooh ko Paak karta hai. (Nuzhatul Majalis,vol:1,pg:155) ALLAH TAALA apne bande ke sab se zyada qareeb Raat ke aakhri hisse me hota hai, agar tum us waqt ALLAH ka zikr karne walon me shamil hosakte hain to zaroor ho.(Jame Tirmizi, Hadith No:3579) NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam Momineen se Unki JANOU se bhi zyada Qareeb hain.(Surah Al Ahzaab:06) ALLAH TAALA ke […]

Hazrath Ali raziAllahu ta’ala anhu farmate hain

Hazrath Ali razi Allahu ta’ala anhu farmate hain

Hazrath Ali raziAllahu ta’ala anhu farmate hain :Khuda ki qasam! HUZOOR E AKRAM sallallahu alaihi wa sallam se hame apne maal, aulaad aur walidain se bhi ziyada muhabbat hai,Koi pyasa jitna thande paani ko chahta hai is se bhi badhkar hum Aap sallallahu alaihi wa sallam ko chahte hain.’ (Al Shifa, 2/568,Muwahib Ladunya, 6/290) koi musalman kisi muslaman ko kamtar na jane kyun ke Musalman ALLAH ke nazdeek badi shaan wala hai.(Hazrath Abu Bakar Siddiq raziallahu taala anhu) Har wo kaam acha hai jo aakhirat ki bhalayi ke liye kiya jaye.(Hazrath Usman e ghani raziallahu taala anhu) HUZOOR Sallallahu alaihi […]

Madine Munawwara ka juma

NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: Madine Munawwara ka juma dusri jagah ke Hazaar Jumou se Afzal hai. (Shubul Imaan, Hadith no:3825) NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: Jo Juma ke din ek hazaar martaba Durood padha karega wo jab tak apna thikana jannat me na dekhlega us waqt tak use Mout nahi aayegi. (Al Targheeb:501) NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: Qayamat ke din Suraj logon ke bahut qareeb aajayega yaha tak ke pasina aadhe kanou tak puhanch jayega, Log Is halat me (pehle) Hazrath Adam alaihissalaam se madad maangne […]

Namaz

Sab se ziyada Namaz ka sawaab us Shakhs ko Milega jo ziyada paidal chal kar aaye

Neik logon ki suhbat ikhtiyaar karo kyun ke suhbat me bada asar hota hai. ALLAH ki maqlooq ke saath Neki karne se jis qadar shukar guzari hoti hai wo aur kisi surat me mumkin nahi.(Hazrath Ali Raziallahu taala anhu) Allah ki Qasam! Allah Ta’ala apne mahboob bande ko dozakh me nahi daalta.(Mustadarak ‘Alas Sahihain, Hadith No. 7455) Jo Neik Amal duniya me jitna mushkil hoga, Qayamat ke din Amal ke Tarazo me utna hi wazni hoga.(Hazrath Ibrahim bin Adham rahmatullah alaih) Insaan ka dil khush karna aur uski dil joui aur rahat rasani Afzal tareen amal aur ALLAH TAALA ke […]

Juma ki Raat Noorani Raat hai

(Aye Mahboob sallallahu alaihi wasallam)! Beshak hum ne Aapko Haq ke saath Khushkhabri sunane wala aur dar sunane wala banakar bhaijha hai. (Surah Baqarah:119) 4 chezen Rizq me Izafa karti hain: 1) Tahajjud ki namaz 2) kasrat se Istighfaar 3) kasrat se Sadqa karna 4) Kasrat se Zikar karna (Hazrath Imaam Shafai Rahmatullahi Taala Alaih) NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: HAR BHALAYI (ACHA KAAM) SADQA HAI. (Al Adab Al Mufrad,hadith no:234) Sabar karne wale hamesha kamiyaab hote hain isliye tumhe chahye ke sabar karen. (Hazrath khawaja Usman haroni rahmatullah alaih) HUZOOR E AKRAM Sallallahu alaihi wasallam […]

Masjid e Nabwi

ALLAH KE NABI ZINDA HAIN RIZQ PAATE HAIN

NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Logo! Juma ke din tum mujh par kasrat se Durood o Salaam padha karo, kyun ke ye wo din hai jisme Farishte khususiyat ke saath hazir hua karte hain,Aur jo koi Mujh par Durood padhta hai to uska Durood Mujh par pesh hota hai yaha tak ke wo us se farigh hojaye, Sahaba Ekraam raziallahu anhum ne Arz kiya: Aap ke Wisaal e Mubarak ke baad bhi kya hum is tarah padhe? Aap Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya: Beshak ALLAH TAALA ne Zameen par Haraam kardiya hai ke wo Ambiya Ekraam ke […]

hadith durood shareef

Jo Mujh par ek martaba Durood Bhaijhta hai

NABI E KAREEM Sallallahu aliahi wasallam ne irshaad farmaya: Jo shakhs Mujh par ek martaba Durood padhta hai ALLAH TAALA us par 10 Rehmatou ka Nuzool farmata hai, Jo shakhs Mujh par 10 martaba Durood padhta hai, ALLAH TAALA us par 100 Rahmaten Nazil farmata hai, Aur Jo shakhs Mujh par 100 Martaba Durood padhta hai, ALLAH TAALA uski dono Ankhou ke darmiyaan munafiqat aur aagh se hamesha ke liye Aazadi likh deta hai, aur Qayamat ke din uska Qiyaam Shuhada ke saath hoga.. (Al Moujamul Aousat,Hadith no:7235) NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wa sallam ne irshaad farmaya: Jo Mujh […]

allah love

ALLAH se Mohabbat kiya karo

NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: Meri Ummat ke tamaam logon ke gunah ALLAH TAALA Baqsh dega, Siwaye un logaon ke jo gunah karke logon ko faqr se batate hain ke hum ne ye gunah kiya. (Sahih Bukhari,Hadith no:6069) NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:  ALLAH se Mohabbat kiya karo! Kyun ke wo tumhe apni nematou se sarfaraz farmata hai, aur ALLAH ki Mohabbat ki khatir Mujh se Mohabbat kiya karo, aur Meri Mohabbat ki khatir Mere Ahle Bait se Mohabbat kiya karo. (Jame Tirmizi,hadith no:2158) Thanda paani Aagh ko jis tarah se jaldi […]

Surah e Ad-Dukhan

Jo Juma ke din ya raat me Surah “Haa meem Dukhan” padhega

Jisne Saliheen Buzrugane deen ka zikar suna uske dil me ALLAH ki Mohabbat zyada hote jati hai aur Ita’at me zyadati hoti hai.(Hazrath Nizamuddin Awliya rahmatullah alaih) NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Jab koi qoum ALLAH TAALA ke Zikr ke liye baithti hai, to farishte unko gher lete hain, Aur Rehmat unko dhaanp leti hai, aur ALLAH TAALA Farishtou ke saamne unka zikar farmata hai. (Sahih Muslim,hadith no:6855) Mout ki saqti Dunya aur aakhirat ki saqti se bahut zyada khoufnaak hai.(Hazrath shadaad bin uoos Rahmatullah Alaih) NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Mashriq wo Maghrib […]

Hadith of the day

Wahin ka humko gulam kehna!!

ALLAH TAALA ka irshaad hai: Aur AAP (sallallahu alaihi wasallam) par ALLAH ka bahut bada fazal hai. (Surah Al Nisa:113) NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne isrshaad farmaya: Jise ye pasand ho ke ALLAH TAALA ki baargah me pesh hote waqt ALLAH TAALA us se raazi rahe to use chahye ke Mujh par kasrat se Durood shareef padhe. (Firdous ul Akhbaar,Hadith no:6083) Khushnaseeb hai wo shakhs jo HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam par Durood bhaijhta hai, Us par ALLAH TAALA aur HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam aur Farishton Rahmat bhaijhte hain, Gunahon ka kaffara banjate hain, Aamal pakiza hojate hain, Darajaat […]

Milad un Nabi

Jab NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ki wiladat hui

“……..Jab HAZRATH NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ki wiladat hui to saari dunya NOOR se mamoor hogayi, Aur FARISHTE apas me ek dusre ko KHUSHKHABRI dene lage, aur har AASMAAN me Zabarjad aur Yaqoot ka ek ek Sutoon lagaya gaya jiski wajeh se Aasmaan Munawwar hogaya, wo Sutoon Mala e Aala me Maroof hai, jise HUZOOR E AKRAM Sallallahu alaihi wasallam ne meraj ki raat mulaheza farmaya to arz kiya gaya: yehi wo sutoon hai jo aapki WILADAT ki KHUSHI me nasab kiye gaye aur jis raat Aapki wialdat hui ALLAH TAALA ne HOUZE KOUSAR ke kinare par ek […]

Durood

Mehfilon ko Durood-e-Paak padh kar zinat do

Majlison ki zinat NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam par DUROOD padhne se hai, lehaza tum apni mehfilon ko Durood e Paak padh kar zinat do. (Ummul Mominen Hazrath Syedatuna Ayesha Siddiqa raziallahu taala anha) Alla Huma Salli Ala Muhammadiw Wa Ala Aali Muhammadin Kamaa Sallaita Ala Ibrahima Wa Ala Aali Ibrahima Innaka Hamidum Majid. Allahumma Baarik Ala Muhammadiw Wa Ala Aali Muhammadin Kamaa Baarakta Ala Ibrahima Wa Ala Aali Ibrahima Innaka Hamidum Majid.   اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّدٍ وَعَلَى آلِ مُحَمَّدٍ كَمَا صَلَّيْتَ عَلَى إِبْرَاهِيمَ وَعَلَى آلِ إِبْرَاهِيمَ .إِنَّكَ حَمِيدٌ مَجِيدٌ اللَّهُمَّ بَارِكْ عَلَى مُحَمَّدٍ، وَعَلَى آلِ مُحَمَّدٍ كَمَا بَارَكْتَ […]

madina sharif

Main Ahle Mohabbat ka Durood Khud Sunta hu

Ek martaba HUZOOR E AKRAM Sallallahu alaihi wasallam se arz kiya gaya: wo jo AAP (Sallallahu alaihi wasallam) par nazdeek se Durood Bhaijhte hain , Dur se Durood Bhaijhte hai aur Baad me aane wale bhi bhaijenge , Kya ye sab Durood Aapko pesh kiye jate hain? Ispar HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: Main Ahle Mohabbat ka Durood Khud Sunta hu aur unhe pehcanta bhi ho. (Dala’elul Khairaat,pg:49) Jo bhoke ko khana khilata hai ALLAH TAALA uski hazaar hajaten puri kardeta hai, Use dozaq se chutkara milta hai aur jannat me uske liye ek mahel tayyar hota hai. […]

subhanallahi wa bihamdihi

Jis ne din me SUBHANALLAHI WA BIHAMDIHI 100 martaba padha

Hazrath Imaam shafai rahmatullah alaih farmate hain: NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam par Durood e Shareef padhna har halat me pasand karta ho magar Juma ke din aur Juma ki raat ko bahut zyada pasand karta ho. Jise Ahle Bait ki mohabbat miljaye use dono jaha ki izzat miljayegi, aakhirat me HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ki shafa’at naseeb hogi, Aur Ahle Bait ke sadqe uski maghfirat wo baqshish hojayegi.. NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: Tum jahan kahi bhi ho Mujh par Durood Bhaijha karo, Beshak tumhara Durood Mujhe Puhanch jata hai. (Al Moujamul kabeer,Hadith no:2729) […]

I Love My Prophet Muhammad (SAW)

Jis se Main Mohabbat karo usse ALLAH TAALA Mohabbat karta hai

NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya : Jo shakhs aisi namaz padhta hai ke jisme Mujh par aur Meri Aal par DUROOD na padhe uski Namaz Qubool nahi ki jati. (Sunan e Daare qutni , hadith no : 1359) HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne HASSAN AUR HUSSAIN Raziallahu taala anhuma ke liye farmaya : Jisne inse Mohabbat ki usse Main ne Mohabbat ki , aur jis se Main Mohabbat karo usse ALLAH TAALA Mohabbat karta hai , aur jisko ALLAH TAALA Mahboob rakhta hai use Nematon wali Jannaton me Dakhil farmata hai. (Al Moujamul Kabeer , hadith […]

Ramzan

Jo shakhs RAMAZAN ko paaye aur uski Maghfirat na ho

Hazrath Ka’ab raziallahu taala anhu ne farmaya: HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya : Member ke paas jama hojao to hum member shareef ke paas hazir hogaye, Jab HUZOOR E AKRAM Sallallahu alaihi wasallam Member ki ek Sidhi par Qadam e Mubarak rakhe to Ameen farmaya, Jab Dusri sidhi par Qadam e Mubarak rakhe to Ameen farmaya, Aur Jab Tesri sidhi par Qadam e Mubarak rakhe to Ameen farmaya, Jab HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam Member shareef se Niche Tashreef laaye to hum ne Arz kiya: YA RASOOLALLAH Sallallahu alaihi wasallam ! Hum ne Aaj Member par Aapko Tashreef lejate […]

Zikr

Zikr se behtar koi amal nahi hai

Hazrath muaawiya raziallahu taala anhu ne farmaya : Main ne kisi bhi khateeb ko Ummul Momineen Hazrath AYESHA SIDDIQA raziallahu taala anha se badh kar balagat wo zahanat wala nahi dekha. (Al Moujamul Kabeer , hadith no :298) Zikr se behtar koi amal nahi hai. (Hazrath Imaam Gazali rahmatullah alaih) Hazrath Abu Huraira raziallahu taala anhu farmate hain: Main ne HUZOOR E AKRAM Sallallahu alaihi wasallam ki baargah e Aqdas me arz kiya: Aye ALLAH ke RASOOL Sallallahu alaihi wasallam ! Jab main aapki ziyarat se musharraf hota ho (to tamaam gham bhool jata ho) Dil khushi se Jhoom uthta […]

SHABAN ki 15th ki raat

SHABAN ye wo mahina hai

SHABAN ye wo mahina hai jisme Bhalayon ke darwaze khole jate hai, Barkatien nazil hoti hai, khata’en darguzar ki jati hai, gunah mita diye jate hai, Aur HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ki qidmat e Aqdas me kasrat se hadya Durood pesh kiya jata hai, jo maqlooq me sab se behtar Zaat e Girami hain, Aur ye mahina NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam par DUROOD O SALAAM pesh kiye jane ka khususi mahina hai. (Al Ghunya At Talibi Tariqi Lil Haqqi , vol:1, pg:188)

durood aur salaam

Aap Sallallahu alaihi wasallam par durood aur salaam

NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya :  ” Mashriq wo maghrib me jo musalmaan bhi mujh par salaam bhaijhta hai mai aur mere Rab ke farishte unke bhaijhe hue salaam ka jawaab dete hain. (Hilyatul Aowliya,pg: 349) Ek Martaba HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam se arz kiya gaya: Wo jo Aap par Nazdeek se durood bhaijhte hai, Dur se Durood bhaijhte hai, aur baad me aane wale bhi bhaijhinge, kya ye sab Durood Aapko Pesh kiye jate hain ? HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: ” MAIN AHLE MOHABBAT KA DUROOD KHUD SUNTA HU AUR UNHE PEHCHANTA […]

sadaqa

Sadqa ALLAH TAALA ke Gazab ko thanda karta hai

Hazrath Imaam e Shafai Rahmatullah alaih se Pucha gaya : ALLAH TAALA ke nazdeek halat e Ataa wo Khushhali pasandida hai ya Halat e Musibat wo Bala ? Aap ne farmaya : Musibat ke baad hi Ataa wo Khushhali milti hai. To Jo koi Musibat par Sabar karta hai to use Ataa wo Rahat ki Khushkhabri dijati hai. NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: Sadqa ALLAH TAALA ke Gazab ko thanda karta hai aur buri mout se Mahfooz rakhta hai. (Sahih Muslim,hadith no:263) Apne maamlat me un logon se mashwara lo jo ALLAH TAALA se Darte hai. […]

darood sareef

Jo Juma ke din ya raat me Surah “Haa meem Dukhan” padhega

NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: Main ne Jibreel Ameen se daryaft kiya kaunsa amal ALLAH TAALA ke nazdeek pasandida hai, Hazrath Jibreel Ameen Alaihissalaam ne arz kiya: Aye Paikar e Hamd o Sana! Aap par Durood padhna aur Ali bin Abu Talib ki Mohabbat. (Musnad ul Firdoos) NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Apni majlison ko Mujh par Durood padhne ke saath zinat do, Mujh par tumhara Durood padhna Tumhare liye Qayamat ke din Noor hoga. (Sunan e Dailami) NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Jo Juma ke din ya raat me Surah […]

Friday

Friday Hadith

NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: Jo Juma ke din ya raat me Surah “Haa meem Dukhan” padhega, ALLAH TAALA Jannat me uske liye ek ghar banayega. (Al Moujamul Kabeer,hadith no:8026) NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: Jo Juma ke din ek hazaar martaba Durood padha karega wo jab tak apna thikana jannat me na dekhlega us waqt tak use Mout nahi aayegi. (Al Targheeb:501)

darood

Darood E Sharif

NABI E KAREEM ﷺ  ne irshaad farmaya: ALLAH TAALA ke kuch farishte zameen par phirte hain jo sab zikar ki mehfilon se guzarte hain to ek dusre ko kehte hain ke yaha baitho aur jab zikr karne wale dua maangte hain to wo farishte unki dua par Ameen kehte hain aur jab wo NABI E KAREEM ﷺ  par Durood bhejhte hain to wo farishte unke saath milkar Durood bhejhte hain yaha tak ke wo alag alag hojate hain phir farishte ek dusre ko kehte hain in khush nasibon ko khushkhabri aur saadat hai ke baqshish ke saath wapas jarahen hain. […]

Prophet Mohammed

Mohammed ﷺ once asked Jibrail Alayhi Salam

Hazrat Abu Hurairah Radiallahu Anhu relates that Rasul Allah Sallallahu Alayhi Wasallam once asked Jibrail Alayhi Salam: “Oh Jibrail, how old are you?” He replied: “I do not know. But I know this much, that there was a star in the fourth heaven that used to shine after every 70, 000 years and I have seen that star 72, 000 times.” On hearing this Rasul Allah Sallallahu Alayhi Wasallam said: “By the honour of Allah the almighty, I am that star!” 70 000 x 72 000 = 5, 040, 000, 000 (five billion, forty million) years. That star that shone […]

hadees pak in urdu

Hazrath Halima Raziallahu taala anha farmati hain

Hazrath Halima Raziallahu taala anha farmati hain: Jab HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ko apne paas laaye hame kabhi chiragh ki zarorat hi pesh nahi aayi, Kyun ke AAPKE Mubarak chehre ka NOOR chiragh ki roushni se zyada Roushan wo Munawwar hai, Agar kisi dusre maqaam par kabhi hame chiragh ki zarorat pesh aati to hum AAPKO us maqaam par lejate, AAPKI BARAKAT se usi waqt daro diwaar aur makanaat Roushan hojate. (Tafser e Mazhari,vol:6,pg:514) NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: Juma ke roz mujh par kasrat se Durood padha karo, behsak juma ka din youm e mashood […]

durood shareef

Juma ki raat Durood Padhe ALLAH TAALA uski 100 Hajaten Pori farmata hai

NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wa sallam ne irshaad farmaya: “Jo shakhs mujh par Juma ke din aur Juma ki raat Durood Padhe ALLAH TAALA uski 100 Hajaten Pori farmata hai, 70 Aakhirat ki aur 30 Dunya ki, phir ALLAH TAALA uske liye ek farishta muqarrar kar deta hai jo ke mere rouze me Durood istarah paish karta hai Jis tarah Tumhe Hadye paish kiye jate hain, wo Mujhe us shakhs ke naam wo nasab ki uske Khandaan ke saath khabar deta hai, pas Main Use Apne Paas Safaid Sahife me Sabt karleta ho.” (Shubul Imaan,hadith no:3035) Related Link: Darood […]

Naam e Mubarak zameen mein MOHAMMED ﷺ hai to Aasmano mein AHMED ﷺ

NABI E AKRAM صلى الله عليه وسلم  ka Naam e Mubarak zameen mein ” MOHAMMED ” (Bahut zyada tareef ki hui zaat) صلى الله عليه وسلم  hai to Aasmano mein “ AHMED ” (Bahut zyada tareef farmane wale) صلى الله عليه وسلم  hai. NABI E AKRAM صلى الله عليه وسلم  ke naam e mubarak me jumla 4 huroof hai aur ALLAH TAALA ke Isme paak ALLAH me bhi 4 huroof hai.     (Subul ul Huda war Rashaad,vol:1,pg:408)  

allah muhammad saw

Rasool S.A.W logon Mein Sabse Behtareen Akhlaaq Wale Hain

Hazrath Anas Radiallahu anhu Riwayat Farmate hain ke Main ne HUZOOR-E-AKRAM  ﷺ  Ki 10 Saal Khidmat ki Aur Huzoor ﷺ Ne Mujhe Kabhi Oof Tak Nahi Farmaya, Aur Mere Kiye Par Ye Kabhi Nahi Farmaya ke Tumne Aisa Kyun Kiya, Aur Main Ne Koi Kaam Na Kiya To Ye Na Farmaya ke Tumne Ise Kyun Nahi Kiya, Aur Hazrath Rasool-e-paak sallallahu alaihi wasallam logoun Mein Sabse Behtareen Akhlaaq Wale hain. (Jame Tirmizi,Hadees no:2147) Durood e Ibrahim : * Beshak ALLAH Aur uske farishte NABI E AKRAM ﷺ  par Durood Bhaijhte hain ,Aye Imaan walo ! Tum bhi un par Durood bhaijho aur khoob […]

arabic durood

Benefits of Reciting Durood

The Mercies of Allah Most High on those recite Durood It is related in Waseelatul Udhma: The individual who sneezes and says: Alhamdullillahi ala kulli haalin maa kaana min haalin and then recites Durood on Me and My progeny, Allah Most High creates a bird from that person’s left nostril, bigger than a fly and smaller than a locust, which flies under the ‘Arsh (of the Lord Almighty) and says: O Allah! Forgive the person who glorifies You and sends greetings on Your Prophet. This is related by Ibn Bashkawaal. Imam Sakhawi (May Allah shower His Mercy on him) has […]

Juma ke Din Fazail Durood ki Fazilat

Juma ke Din Fazail Durood ki Fazilat

NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: Jo Mujh par Juma ki raat aur Juma ke din 100 martaba Durood Shareef padhega, ALLAH TAALA uski 100 Hajaten puri farmayega.   Ek martaba HUZOOR E AKRAM Sallallahu alaihi wasallam se arz kiya gaya: wo jo AAP (Sallallahu alaihi wasallam) par nazdeek se Durood Bhaijhte hain , Dur se Durood Bhaijhte hai aur Baad me aane wale bhi bhaijenge , Kya ye sab Durood Aapko pesh kiye jate hain? Ispar HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: Main Ahle Mohabbat ka Durood Khud Sunta ho aur unhe pehcanta bhi ho. […]

Huzoor Sallallahu alaihi wasallam

Huzoor Sallallahu alaihi wasallam said

Allah’s Messenger (HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam) said, “Whoever obeys me, obeys Allah, and whoever disobeys me, disobeys Allah, and whoever obeys the ruler I appoint, obeys me, and whoever disobeys him, disobeys me.” (Sahih al-Bukhari, Vol. 9, Book 93, Hadith 1) Abu Huraira Narrated that : The Prophet (Sallallahu alaihi wasallam) said, “The young should greet the old, the passer by should greet the sitting one, and the small group of persons should greet the large group of persons. ” (Sahih al-Bukhari, Vol.8, Book 79, Hadith 5) Related Links: ALLAH aur uske pyare Rasool sallallahu alaihi wasallam Shere Khuda Hazrat […]

NABI E KAREEM ka Irshad hai

NABI E KAREEM ka Irshad hai

Darood sharif ki fazilat :   HUZOOR NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: Beshak ALLAH TAALA ka ek farishta hai jiske 2 par hain, ek mashriq aur dusra maghrib me, Jab koi banda mohabbat bhare andaz me mujh par durood bhaijhta hai to wo paani me gouta lagata hai phir apne par jhaadhta hai, To ALLAH TAALA uske har qatre se ek farishta paida farmata hai jo mujh par Durood padhne wale ke liye qayamat tak istighfaar karta rahega. (Al Qawl Ul Badee,pg:213) Related Link: Most Beautiful Durood Sharif Allah Humma Sallay Ala

Durood shareef

Durood Shareef

اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّدٍ، وَعَلَى آلِ مُحَمَّدٍ، كَمَا صَلَّيْتَ عَلَى إِبْرَاهِيمَ، وَعَلَى آلِ إِبْرَاهِيمَ، إِنَّكَ حَمِيدٌ مَجِيدٌ. اللَّهُمَّ بَارِكْ عَلَى مُحَمَّدٍ، وَعَلَى آلِ مُحَمَّدٍ، كَمَا بَارَكْتَ عَلَى إِبْرَاهِيمَ، وَعَلَى آلِ إِبْرَاهِيمَ، إِنَّكَ حَمِيدٌ مَجِيدٌ ALLAHUMMA SALLI ALA MUHAMMADIW WA ALA AALI MUHAMMADIN KAMAA SALLAITA ALA IBRAHIMA WA ALA AALI IBRAHIMA INNAKA HAMIDUM MAJID. ALLAHUMMA BAARIK ALA MUHAMMADIW WA ALA AALI MUHAMMADIN KAMAA BAARAKTA ALA IBRAHIMA WA ALA AALI IBRAHIMA INNAKA HAMIDUM MAJID. “O Allah, let Your Blessings come upon Muhammad S.A.W and the family of Muhammad S.A.W, as you have blessed Ibrahim and his family. Truly, You are Praiseworthy and […]

Todays Date
1st Ramadan