Friday-26-04-24


Iyyaka Na Budu Wa Iyyaka Nastaaeen

Ibadat ke Zariye Allah ki Madad!

Iyyaka Na Budu Wa Iyyaka Nastaaeen (Verse 05, Surah Fatihah) Agar aap kisi Mushkil mein Giriftar ho kar Allah Ta’ala ki fori Madad o Nusrat ke Talab gaar hon to Madad Mangne ki behtar surat ye hai ke Pehle koi Maali ya Badni Ibadat Sar Anjam de aur Phir Allah Ta’ala se Madad Mange, Kyun ke Khud Allah Subhanahu Wa Ta’ala ne Madad Mangne se Qabl Ibadat ka zikr Farmaya hai. Irshade Bari Ta’ala hai: إِيَّاكَ نَعْبُدُ وإِيَّاكَ نَسْتَعِينُ “Aye Allah Ham teri hi Ibadat karte hain aur Tujh hi se Madad mangte hain.” (Al-Quran, Surah Al-Fatihah:5)

Majlis e zikar me ALLAH TALA ka zikar

Majlis e zikar me ALLAH TALA ka zikar

لا حولا ولا قوة الا بالله Jannat ke khazanou me se ek khazana hai.(Sunan e Abu Dawood,hadith no:1526) NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Zuhar ki 4 sunnaton ka sawaab aisa hi hai, Jaise Tahajjud ki 4 Rakaat ka, Zuhar ke waqt ALLAH ki tamaam maqlooq uski Hamd o Sana Bayaan karti hai.(Jame Tirmizi) NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Jab log majlis e zikar me baith kar ALLAH TA’LA ka zikar karke uthte hain to unhe kaha jata hai: Khade hojaou! ALLAH ne tumhare gunah baqsh diye hain, Tumhare gunah nekiyou me badal diye gaye […]

Todays Date
1st Ramadan